Kya aap YouTube videos Creater ho yani aap YouTuber ho ya AAP blooging karte he. aapka channel ya monetize ho Gaya he or aap apki pahli payment ka intejaar Kar Rahe he. Or aapke pass SBI kiosk banking ka khata he. Or aapko SBI bada account karbana chahte he. Yani AAP SBI saving account banana chahte he. Kya humara account number yahi rahega sab kuch janenge aap to iske liye aapko Kya Karna hoga ye saval aapke man me jarur aata hoga chahe AAP YouTuber ho ya blogging karte he or aapke pass AdSense approval he or aapke pass SBI ka chhota khata to aap is cheej se jarur pareshan honge.to aaj me aapko bataunga aap Kaise apne chhote SBI khate ko bada Kar payenge. To chaliye shuru karte he.
Kya Hume apna pahle SBI kiosk account band karbana padega?
Dosto Kai logo ko apna kiosk account band karna padega. uske baad aapko apna SBI saving account open karbana padta he jisko Kai log SBI bada account bolte he.
To aapko ek kaam karna apko State Bank of India me Jana he or waha pe aapko puchna mujhe apna SBI kiosk account ko bada account (saving account) karbana he. Fir bo aapse aapka account number lenge aapko de Dena he. Bo aapko check karke batayenge. Kya aapko apna account band karbana padega ya isi account ko bada Kar diya jayega.
SBI Kiosk account ko close (band) Kaise karbayen?
SBI Kiosk account ko band karbane ke liye Kya Karna hoga iske liye Kiosk bank jakar ekyc karbani hogi or SBI bank aakar aapko ek form ya avedan Dena he. kiosk account band karbane ke liye.
Isko band Karne ke baad AAP Naya khata khulba sakte he. Ab baat karte he
SBI kiosk account ko saving account Kaise open karbayen Bina account number badle?
Iske liye dosto aapko State Bank of India Jana hoga bahan per aapko bolna he mujhe SBI Kiosk account ko bada karana he. Iske liye bo aapse Aapka account number mangenge. To aapko de Dena he bo aapko check karke batayenge Kya Karna he aapko to ho sakta he iske liye har jagah alag alag process ho to me aapko bata hu mene aapna SBI Kiosk account saving account Kaise karbaya. To bo check karke aapko Bata denge Kya aapko pahle isko band karna padegi ya bo isi account number ko saving account me converted Kar denge.
Yadi bo aapse bole ke SBI kiosk bank ke account ko saving account me converted Kar denge to aapka Kam ho jayega iske liye bo aapko ek form denge. Jiska naam hota he. Account opening form resident individuals part 1 SBI.
Is form ko aapko fil karke Zama karna hota he. Isko biklul sahi se bhare or iske sath aapko pan card ki photo(yadi aapke pass pan Card nahi he to is form me aapko form 60 milta he jisko aapko bhar sakte he lekin bank wale ise nahi bharvate direct pan card mangte he.), adhar card ki photo copy, kiosk bank account ki photo copy lagani he or in sabhi photo copy per aapko apne signature Kar dene he.
Sab kuch complete Kar ke aapko Zama Kar Dena he. Zama karne ke baad bo ho sakta he bo aapse agle din aane ki bole kyuki isko update hone me samay lag sakta he. Agle din aapko passbook de di jati he.
Is tarah aapka SBI kiosk account saving me converted ho jata he ab isko aap AdSense me jod Kar apna payment received Kar sakte he apko koi problem nahi aayegi payment received karne me or aap bank wale se confirm Kar Len Kya humara account saving account ban Chuka he. Uske baad AAP iska use Kar sakte he or AAP iska use AdSense me jodne ke liye kar rahe he to aap bank to jayenge hi to wahan jakar aap SBI ka swift code Puch le SBI ka swift code Kya he kyoki jab aap apna bank account jodte he to apko us bank ka sahi swift code pata hona chahiye jisse apko payment received karne me koi samsya na aaye. To dosto ye post aapko Kaise lagi he comment me jarur bataye. Chaliye milte he agli post me tab Tak liye Jay hind Jay Bharat.
Super
ReplyDelete