GST Kya he 2022 in Hindi?

Ajay Gujwar
0

 GST Kya he 2022 in Hindi? आज आप जीएसटी को सरल भाषा में जानेंगे।

Hello doston aaj ke article me aapka swagat hai. aaj ke article me hum baat karne wale hai GST ke baare me.

GST: gst aam logo ko iske baare me kam hi pata hota hai ya yun kahe pata hi nahi hota hai par ise janna jaruri hai bese to GST saral hai par jab hume koi samjhata hai to kahi na kahi kathin lagti hai kai baar hum padte bhi hai. iske baare me to bahut kuch likha hota hai jisse hum confuse ho jate hai to isi ko dekhte huye aaj hum aapke liye GST aasan aur kam sabdo me sari jankari lekar aaye hai.

To chaliye aaj ka article shuru karte hai to baat karte hai 

GST kab aaya: GST 1 July 2017 ko lagu kiya gaya tha isse pahle vat chalta tha VAT (Value Added Tax) aaj hum VAT ke baare me nahi GST ke baare me baat kar rahe hai to isko hum baad me padenge 

GST Full Form - Goods And Service Tax  Hai. Goods means maal, Service means seva hota hai.

Types Of Business: kitne prakar ke byapar par GST lagta hai aaiye jante hai. GST 2 type ke business (vyapar) par lagta hai.

1. Business For Purchase And Sales Of Goods: is type ke vyapar me  maal ko profit (fayde) ke liye kharida aur becha jata hai.

Jisme - TV(Television), Refrigerators, machine, Etc. Electronic saman jitna bhi hota hai. 

2. Business For Service Providing: is business (vyapar) me sevayen di jati hai. isme profit ke liye sevayen dete hai 

Isme - Hotel, Bhojnalaya, Hospital jese vyapar aate hai. 

Who Are Compulsory For GST Registration: kab GST Registration  Mandatory ho jata hai. aaiye jante hai  1saal ki sale (bikri) (Turnover) Agar aapke Purchase And Sales Of Goods Business me 1 saal ki bikri 40 lakh ya usse jyada hoti hai to aapko GST registration karvana jaruri hota hai. aur Service Providing Business me agar 1 saal ki bikri 20 lakh ho tab GST registration anivarya hota hai.  aur agar aap registration karvana chahte hai to aap apni sales (bikri) 40,20 lakh se kam hone par bhi karva sakte hai.

Document Required For GST Registration: Aapko agar GST me registration karvana hai to aapko isme kuch documents ki jarurat hoti he. 

1. aadhar card  

2. Pan card 

3. Passport size photo 

4. Bank Passbook

5. Mobile No.

6. Address proof 

7. Rent agreement 

8. Firm name  

9. E-mail address  

To aapko ye sare documents dene padte hai id proof ke liye isme agar aap rent par rahte hai to aapko rent agreement dena hota hai. aur aap jis naam se firm chala rahe hai uska naam dena hota hai. apna address proof dena hota hai apna e mail address, mobile No. Jo chalu ho photo  ye sab documents aapko dena hota hai. jisse aapka registration hota hai

GST IN Number kya hota hai: GST identification number GST me humare 15 digit hote hai. jisme se pahle do number aapke state ke hote hai jese rajasthan ka State number 08 hai to pahle 08 aayega uske bich ke 10 number aapke pen card ke hote hai pan card ke jo 10 number likhe gaye hai. usi me se agla 1 number Hota hai isme compulsory hai agla number z hota hai aur agla number s hota hai is prakar aapka GST number banta hai.

Example: 08CDBA2132ZS yeh aapka GST number hai. Is prakar aapka GST number banta hai.  

5 Types of GST Rates - GST konse saman par kitna GST tax lagta hai aaiye jante hai.

(1) 00% - 00%Tax in products par lagta hai. jese Fertilizer, Seed, Milk, Egg, Rice, wheat, pulses, Food ingredient, Etc. jese khane ki chhizo par 00% GST lagta hai.

(2) 0.5% - 0.5% GST in products par lagta hai jese sugar, spices, tea etc. itam par GST lagta hai.

(3) 12% - 12% GST electronic saman par lagta hai jese mobile, woshing machine, refrigerator, mixer grinder, fan, etc. jese electronics saman par 12 % GST lagta hai.

(4) 18 % - 18% GST telephone and school bags jese saman par lagta hai. 

(5) 28% - 28% GST Air Conditioner, cement, and luxury Item jese car  jaisi chhizo par 28% GST lagta hai.

GST kispe kam kispe jyada hai. aasan bhasa me aapko samjhaye to jaha jyada sukh aur aaram dene wali chhize(item) hoti hai un par aapse jyada GST lagta hai. aur jo jitni kam aram wali hoti hai utna hi kam tax hota hai aur jo chhize swad ke liye nahi balki pet bharne ke liye hoti hai un par 00% GST hota hai.

To dosto aaj ki is article me bs itna hi Jude rahiye humare sath or esi hi akene janakri ke liye sath hi me online Earning Karne ke liye humse Jude to yah jaankari aapko kaisi lagi comment me jarur bataye.

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)